Mushafi Ghulam Hamdani

sau bar tum to samne aa kar chale gae

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sau baar tum to sāmne aa kar chale ga.e
dhokā sā ek ham ko dikhā kar chale ga.e
kī ham se bāġhbāñ ne ye kāvish ki āḳhirash
ham āshiyāñ ko aag lagā kar chale ga.e
hone diyā na mujh se tumheñ sharm ne do-chār
jab mil ga.e to sar ko jhukā kar chale ga.e
aatā huā jo duur se dekhā mujhe to ve
raste meñ mujh se muñh ko chhupā kar chale ga.e
ab maiñ huuñ aur vo zulf hai yārān-e-be-vafā
dām-e-balā meñ mujh ko phañsā kar chale ga.e
Thokar se apne paañv ke gulshan meñ ḳhush-qadāñ
sad fitna-hā-e-ḳhufta jagā kar chale ga.e
hai ġhair se bhī rabt tumheñ maiñ jo ye kahā
saugand mere sar kī vo khā kar chale ga.e
aa.e kabhī jo baaġh meñ dīvāngān-e-dasht
āñkhoñ se jū-e-ḳhūn bahā kar chale ga.e
hargiz rahā na un kā nishāñ vo jo 'mus.hafī'
qasr-o-mahl zamīñ pe banā kar chale ga.e
Top Urdushayar.com