Mushafi Ghulam Hamdani

naKHl lale ja jab zamin se uTha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
naḳhl laale jā jab zamīñ se uThā
sho.ala ik do vajab zamīñ se uThā
tū jo kal ḳhāk-e-kushtagāñ se gayā
shor us dam ajab zamīñ se uThā
baiThe baiThe jo ho gayā vo khaḌā
ik sitāra sā shab zamīñ se uThā
qad vo buuTā sā dekh kahtī hai ḳhalq
ye to paudā ajab zamīñ se uThā
tishna sahbā-e-vasl kā terī
hashr ko ḳhushk-lab zamīñ se uThā
baiTh kar uTh gayā jahāñ vo shoḳh
fitna vaañ jab na tab zamīñ se uThā
sochtā kyā hai dekh dekh use
bin uThā.e vo kab zamīñ se uThā
thī qazā yūñhī tere kushte kī
laash ko us kī ab zamīñ se uThā
gul nahīñ 'mus.hafī' kā dil hai ye
us ko ai be-adab zamīñ se uThā
Top Urdushayar.com