har-chand ki ho marīz-e-mohtāt
kyā kar sake bā-fasād iḳhlāt
idrīs kī sālahā rahī hai
kūche meñ tire dukān-e-ḳhayyāt
ruḳh par tire dekh sabza-e-ḳhat
hairān haiñ sab jahāñ ke ḳhattāt
jitnī mire dil meñ hai terī chaah
kam hogī na is se niim qīrāt
ḳhuuñ se tire bismiloñ ke dekhī
kūche meñ tire bichhī suqarlāt
qad us kā nahīñ agarche kotah
hai jism kī lāġharī ba-ifrāt
ai yaaro na 'mus.hafī' ko koī
samjho na kam-az-rashīd-vitvāt