baat ko merī alag ho ke na sharmāo suno
kuchh kahā chāhūñ huuñ maiñ tum se idhar aao suno
maiñ to jaane kā nahīñ rū-ba-rū us ke yaaro
kuchh vo gar tum se kahe hai to tumhīñ jaao suno
chheḌne ko mire gar aap kā jī chāhe hai
be-adab huuñ maiñ mire haq meñ jo farmāo suno
baat bhī maano kisī kī koī ye bhī zid hai
apne āshiq ke ta.iiñ itnā na tarsāo suno
gul-sanobar kā agar qissa hai tum paas miyāñ
paḌhne vaalā bhī to maujūd huuñ maiñ laao suno
ai dil o diida ma.aal is kā burā hī samjho
dekh kar us ke ta.iiñ itnā na lalchāo suno
'mus.hafī' baat to kahne do zarā qāsid ko
pahle hī harf meñ tum itnā na ghabrāo suno