chale le ke sar par gunāhoñ kī gaThrī
safar meñ ye hai rū-siyāhoñ kī gaThrī
paḌī roz-e-mahshar vahīñ barq aa kar
jahāñ thī tire dād-ḳhvāhoñ kī gaThrī
musāfir maiñ us dasht kā huuñ ki jis meñ
luTī kitne gum-karda-rāhoñ kī gaThrī
jahāñ suus ne bahr se sar nikālā
maiñ samjhā hai kashtī tabāhoñ kī gaThrī
kulāh-e-zarī māh-e-nau ne uḌā lī
khulī thī kahīñ kaj-kulāhoñ kī gaThrī
ham un sarqa vāloñ meñ ai 'mus.hafī' haiñ
churāte haiñ jo bādshāhoñ kī gaThrī