mai-kasho jaan ke laale nazar aate haiñ mujhe
ḳhālī ḳhālī se piyāle nazar aate haiñ mujhe
zehn insāñ ne tarāshe haiñ jo yazdāñ ke ḳhilāf
saare be-jān havāle nazar aate haiñ mujhe
vaqt-e-raftār chhalakte hue ye rūp-kalas
chalte phirte se shivāle nazar aate haiñ mujhe
hai havāsoñ pe shab-e-hijr kā is darja asar
sub.h ke rañg bhī kaale nazar aate haiñ mujhe
tere ash.ār bhī shādāb butoñ ke mānind
nāz-o-andāz ke paale nazar aate haiñ mujhe