bikte haiñ shahr meñ gul-e-be-ḳhār har taraf
hai bāġhbāñ kī garmī-e-bāzār har taraf
kyā fasl-e-gul phir aa.ī jo karte haiñ zamzama
dām-e-qafas meñ murġh-e-giraftār har taraf
koThe pe us ke pheñkūñ maiñ kis raah se kamand
kam-baḳht pāsbāñ to haiñ bedār har taraf
tode jahāñ the us ke shahīdoñ kī ḳhaak ke
tiir us ne maare naaz se do-chār har taraf
jab us kī barq-e-husn se parda huā hai vā
zaa.e hue haiñ tālib-e-dīdār har taraf
āshiq ko us galī se nikāleñ the jab ba-zor
paḌtī thī chashm-e-hasrat-e-dīdār har taraf
dāvat hai kis kī bazm-e-falak meñ jo kab se haiñ
āñkheñ lagā.e raḳhna-e-dīvār har taraf
sābit bachā na kāfir o dīñ-dār tak koī
teġh-e-nigah ne us kī kiye vaar har taraf
saude meñ justujū ke tirī ai matā-e-husn
sar mārte phireñ haiñ ḳharīdār har taraf
parvāz kā jo shauq hai bulbul ke musht par
kunj-e-qafas meñ uḌte haiñ nā-chār har taraf
hairāñ huuñ maiñ ki kis kā ye kūcha hai jis ke biich
TukḌe hue paḌe haiñ tarah-dār har taraf
ġhauġhā hai sharq o ġharb o junūb o shumāl meñ
fitne jagā ga.ī tirī raftār har taraf
go maiñ huā muqīm to kyā Dar hai 'mus.hafī'
sair o safar meñ haiñ mire ash.ār har taraf