Mushafi Ghulam Hamdani

aae ho to ye hijab kya hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
aa.e ho to ye hijāb kyā hai
muñh khol do naqāb kyā hai
siine meñ Thahartā hī nahīñ dil
yā-rab ise iztirāb kyā hai
kal teġh nikāl mujh se bolā
tū dekh to is kī aab kyā hai
ma.alūm nahīñ ki apnā dīvāñ
hai marsiya yā kitāb kyā hai
jo mar ga.e maare lutf hī ke
phir un pe miyāñ itaab kyā hai
auroñ se to hai ye be-hijābī
mujh se hī tujhe hijāb kyā hai
ai 'mus.hafī' uTh ye dhuup aa.ī
itnā bhī divāne ḳhvāb kyā hai
Top Urdushayar.com