pas-e-qāfila jo ġhubār thā koī us meñ nāqa-savār thā
abhī gard-bād ho uḌ gayā vo ajab tarah kā ġhubār thā
maiñ nigāh-e-pāk se dekhe thā tire husn-e-pāk ko us pe bhī
mire jī meñ ḳhvāhish-e-vasl thī mire dil meñ bos-o-kanār thā
dil-e-ḳhasta pahlū meñ rah gayā mire sard ho ke to kyā ajab
ki kisī kī sāfī-e-shast kā ye ḳhadañg-ḳhurda shikār thā
mirī be-kasī pe tirī nazar na paḌī jab ai but-e-ishva-gar
vo jo terā ahd-e-shabāb thā so vo ain josh-e-bahār thā
maiñ mazār ko bhī miTā diyā maiñ ġhubār ko bhī uḌā diyā
ki tirī safā-e-mizāj par mirī ḳhaak se bhī ġhubār thā
is adā se tiir lagāve thā tū ba-rū-e-tūda-e-musht-e-gul
ki falak ba-teġh-o-kamān bhī tirā mahv-e-kund-o-kadār thā
ye junūñ kī uqda-kushā.iyāñ koī bhūltā huuñ maiñ 'mus.hafī'
ki ba-rū-e-har-sar-e-ābla vahī nāḳhun-e-sar-e-ḳhār thā