Mushafi Ghulam Hamdani

shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
shab-e-hijr sahrā-e-zulmāt niklī
maiñ jab aañkh kholī bahut raat niklī
mujhe gāliyāñ de gayā vo sarīhan
mire muñh se hargiz na kuchh baat niklī
huā vādī-e-qatl sahrā-e-mahshar
mirī na.ash jab roz-e-mīqāt niklī
kamī kar gayā nāz-e-pinhāñ kā ḳhanjar
na jaañ tere bismil kī haihāt niklī
tū ai 'mus.hafī' ab to garm-e-suḳhan ho
shab aa.iiñ darāz aur barsāt niklī
Top Urdushayar.com