Mushafi Ghulam Hamdani

mashuqa-e-naqab naqab mein hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
māshūqa-e-naqāb naqāb meñ hai
mahjūba abhī hijāb meñ hai
mehñdī na lagā ki jaan merī
hāthoñ se tire azaab meñ hai
tū hai vo balā ki maah o ḳhurshīd
zulfoñ kī tire rikāb meñ hai
har ik tujhe aap sā kahe hai
qaziya mah o āftāb meñ hai
allāh-re tire pasīne kī bū
kab aisī bhabhak gulāb meñ hai
is zulf kā aiñThnā to dekho
bin chheḌe hī pech-o-tāb meñ hai
qahhārī kī shaan jab se terī
aalam ke uupar itaab meñ hai
dil koh kā ho gayā hai paanī
dariyā sab iztirāb meñ hai
uTh 'mus.hafī' āftāb niklā
ab tak tū divāne ḳhvāb meñ hai
Top Urdushayar.com