Mushafi Ghulam Hamdani

yak nala-e-asihqana hai yan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
yak nāla-e-āsihqāna hai yaañ
yak zaḳhma ba-sad tarāna hai yaañ
mazkūr rahe hai dard-o-ġham kā
din raat yahī fasāna hai yaañ
pheñke hai vo tīr-e-ġhamza mujh par
samjhe hai ki dil nishāna hai yaañ
gar apnī badī ke sar ko kaaTe
begāna bhī pur-yagāna hai yaañ
yak jumbish-e-shauq dil ko bas hai
kyā hājat-e-tāziyāna hai yaañ
jo aa.e hai jhuk ke jaa.e hai vo
goyā ki sharāb-ḳhāna hai yaañ
vīrān hue chaman se nikle
ham samajhte the āshiyāna hai yaañ
āñkheñ jo bharī hī ātiyāñ haiñ
paanī kā magar ḳhazāna hai yaañ
dīvāñ kī mire tū sair to kar
ai 'mus.hafī' ik zamāna hai yaañ
bulbul hai chaman hai sarv-o-gul hai
saaqī hai mai-e-muġhāna hai yaañ
Top Urdushayar.com