Mushafi Ghulam Hamdani

tujhse gar wo dila nahin milta

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tujh se gar vo dilā nahīñ miltā
zahr bhī tujh ko kyā nahīñ miltā
jis ko vo zulf maar Daale hai
sar-e-mū ḳhūñ-bahā nahīñ miltā
aur sab kuchh mile hai duniyā meñ
lekin ik āshnā nahīñ miltā
dil-e-dīvāna raat se gum hai
kahīñ us kā patā nahīñ miltā
shaiḳh kalabe se uTh nikal bāhar
ghar meñ baiThe ḳhudā nahīñ miltā
dard-o-ġham ko bhī hai nasība shart
ye bhī qismat sivā nahīñ miltā
ik ne pūchhā ye 'mus.hafī' se bhalā
kyuuñ tū ai bevafā nahīñ miltā
hañs ke bolā ki o miyāñ us se
kyā karūñ dil mirā nahīñ miltā
Top Urdushayar.com