Mushafi Ghulam Hamdani

dar talak jaane ki hai uske manahi hum ko

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dar talak jaane kī hai us ke manāhī ham ko
apnī bas ab nazar aatī hai tabāhī ham ko
roz jūñ-tūñ ki huā shaam to phir behtar azaab
nazar aa.ī shab-e-hijrāñ kī siyāhī ham ko
ham to jaane kā irāda nahīñ karte lekin
vo kamar sū-e-adam kartī hai raahī ham ko
kyuuñ tire chāh-e-zanaḳhdāñ kā na nazzāra kareñ
jī se bhātā hai bahut sabza-e-chāhī ham ko
dām-e-bar-dosh hī maḳhlūq kiyā ḳhāliq ne
tāqat uḌne kī na dī juuñ par-e-māhī ham ko
parda paḌtā jo nahīñ us se ḳhush-andāmī par
pyārā lagtā hai tirā kurtā-e-lāhī ham ko
umr bhar sher kahe ham ne pa tū ne ai ishq
na to huznī hī kiyā aur na aahī ham ko
'mus.hafī' ilm-e-luġhat se hai jinheñ āgāhī
jānte haiñ vo abū-nasr-farāhī ham ko
Top Urdushayar.com