Mushafi Ghulam Hamdani

jalwa-gar us ka sarapa hai badan aaine mein

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jalva-gar us kā sarāpā hai badan aa.ine meñ
nazar aatā hai hameñ sarv-e-chaman aa.ine meñ
sīna-sāfoñ se ḳhabar ālam-e-alvī kī to pūchh
arsh o kursī hai yahāñ aks-fagan aa.ine meñ
tāb-e-āzurdagī kab hai dil-e-āshiq ko yahāñ
chīn-e-peshānī se paḌtī hai shikan aa.ine meñ
chashm-e-bīmār se Tapke thā lahū dekhte vaqt
palkeñ hiliyāñ to paḌā zor hī ran aa.ine meñ
le liyā pyaar se aks apne kā jhuk kar bosa
us ne dekhā jo vo pāñ-ḳhurda dahan aa.ine meñ
abraq-e-soḳhta sā kyuuñ na nazar aa.e jo ho
ātish-e-husn tirī sā.iqa-zan aa.ine meñ
daam meñ lāveñ vo tā aks kī tere tasvīr
zulfeñ pheñkīñ haiñ do jānib se rasan aa.ine meñ
āb-e-jū kā hai ye aalam ki nazar aatā hai
la.al-e-rummānī sā har gul kā baran aa.ine meñ
dil-e-māyūs ko pahne hue aatī haiñ nazar
saikaḌoñ hasrat-e-dīdār kafan aa.ine meñ
aa.ina dekhte pīchhe se jo maiñ aa niklā
aks par aks huā sāya-fagan aa.ine meñ
thī to āzurdagī muddat se pa vo rūThe hue
bin manā.e ga.e be-sāḳhta man aa.ine meñ
'mus.hafī' kyuuñ na kahe tujh ko koī tūtī-e-hind
jab tū is vaz.a kare fikr-e-suḳhan aa.ine meñ
Top Urdushayar.com