mere zehn-o-dil meñ fikr-o-fan meñ thā
niim kā vo peḌ jo āñgan meñ thā
jis pe likkhā thā mirā nām-o-nasab
qaid maiñ miTTī ke us bartan meñ thā
ek vo har dasht meñ sairāb thā
ek maiñ pyāsā har ik sāvan meñ thā
dekh kar bhī jo na dekhā jā sakā
aks-ārā vo har ik darpan meñ thā
kah na paayā jaane kyuuñ ik harf bhī
jaane kyā us aadmī ke man meñ thā
jis ko koī naam de saktā nahīñ
vo bulāvā us parā.e-pan meñ thā
āñdhiyāñ sab kuchh uḌā kar le ga.iiñ
peḌ par patta na phal dāman meñ thā
jā-ba-jā qaus-e-quzah kī chhūT thī
ik tilism ābād pairāhan meñ thā
chhīn kar 'shādāb' koī le gayā
ik anokhā sukh jo ghar-āñgan meñ thā