khā lete haiñ ġhusse meñ talvār kaTārī kyā
ham log haiñ saudā.ī auqāt hamārī kyā
bijlī se lipaT kar ham bhasamañt hue āḳhir
us ko tire dāman kī samjhe the kanārī kyā
juuñ sham.a sar-e-shab se maiñ rone ko baiThā huuñ
tā āḳhir-e-shab dekhūñ dikhlā.e ye zaarī kyā
ghabrā.ī jo phirtī hai is taur sabā har-sū
aatī hai gulistāñ ko us gul kī savārī kyā
ronā mirī āñkhoñ se jab tak ki na sīkhegā
jā baiTh tū rovegā ai abar-e-bahārī kyā
sote se to uThne do Tuk us ko sahar hote
dekhoge ki machlegī vo chashm-e-ḳhumārī kyā
nargis kī ḳhajil āñkheñ itnī to na thiiñ gaahe
us chashm-e-mufattin se baazī koī haarī kyā
auqāt mujarrad kī kis tarah basar hove
jañgal hai ye biktī hai yaañ naan nahārī kyā
ai 'mus.hafī' maiñ us ko jī jaan se go chāhā
āḳhir ko huā hāsil juz-zillat-o-ḳhvārī kyā