āshiq kaheñ haiñ jin ko vo be-nañg log haiñ
ma.ashūq jin kā naam hai vo sañg log haiñ
kis tarah kasbiyoñ se rakhe koī jī bachā
sab jānte haiñ in ko ye sarhañg log haiñ
majnūñ tū jā ke dasht meñ fariyād kar ki aa.e
naale se tere shahr ke dil-tañg log haiñ
aalam ke sūfiyoñ ke koī kyā samajh se
har rañg se judā haiñ ye be-rañg log haiñ
ham to na la.al-e-lab kā tire bosa le sake
rakhte haiñ ye ḳhayāl jo be-Dhañg log haiñ
utrā hai kaun aab meñ ye jis ke husn se
hairāñ khaḌe hue ba-lab-e-gañg log haiñ
mere luġhāt-e-sher ke aalam ko 'mus.hafī'
samjheñ haiñ vo jo sāhib-e-farhañg log haiñ