aaj palkoñ ko jaate haiñ aañsū
ulTī gañgā bahāte haiñ aañsū
ātish-e-dil to ḳhaak bujhtī hai
aur jī ko jalāte haiñ aañsū
ḳhūn-e-dil kam huā magar jo mire
aaj tham tham ke aate haiñ aañsū
jab talak diida girya-sāmāñ ho
dil meñ kyā josh khāte haiñ aañsū
gokharo par tumhārī añgiyā ke
kis ke ye lahar khāte haiñ aañsū
terī pāzeb ke jo haiñ motī
un se āñkheñ laḌāte haiñ aañsū
sham.a kī tarah ik lagan meñ mire
'mus.hafī' kab samāte haiñ aañsū
fikr kar un kī varna majlis meñ
abhī tūfāñ laate haiñ aañsū