Mushafi Ghulam Hamdani

ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ai shab hijr kahīñ terī sahar hai ki nahīñ
nāla-e-nīm-shabī tujh meñ asar hai ki nahīñ
jaan par apnī maiñ khelā huuñ judā.ī meñ tirī
be-ḳhabar tujh ko bhī kuchh us kī ḳhabar hai ki nahīñ
ek muddat huī ham vasf-e-kamar karte haiñ
par ye ma.alūm nahīñ us ke kamar hai ki nahīñ
rakh na sozan ko zarā dekh to le ai jarrāh
qābil-e-baḳhiya mirā zaḳhm-e-jigar hai ki nahīñ
kyā ḳhush aa.ī hai dilā manzil-e-hastī tujh ko
sach batā yaañ se tirā azm-e-safar hai ki nahīñ
to jo be-parda ho muñh ġhair ko dikhlātā hai
paas merā bhī kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahīñ
dekh tū ai but-e-be-mehr tirī furqat meñ
har-bun-e-mūe mirā dīda-e-tar hai ki nahīñ
us ke dar par hī jo rahtā huuñ maiñ din raat paḌā
mujh se jhunjhlā ke kahe hai tire ghar hai ki nahīñ
'mus.hafī' us kī galī meñ jo tū jaatā hai sadā
apnī badnāmī kā kuchh tujh ko bhī Dar hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com