nahīñ kartī asar fariyād merī
koī kis tarah deve daad merī
fuġhān-e-jāñ-gusil rakhtā huuñ lekin
nahīñ suntā mirā sayyād merī
tū ai paiġhām-bar jhūTī hī kuchh kah
ki ḳhush ho ḳhātir-e-nāshād merī
maiñ tujh ko yaad kartā huuñ ilāhī
tire bhī dil meñ hogī yaad merī
nahīñ hotā muqayyad maiñ kisī kā
tabī.at hai bahut āzād merī
udhar ai 'mus.hafī' kyā dekhtā hai
ġhazal sun aa mire ustād merī