ham bhī haiñ tire husn ke hairān idhar dekh
kyā ā.īna dekhe hai mirī jaan idhar dekh
āñkheñ na churā mujh se mirī jaan idhar dekh
ai maiñ tirī is chashm ke qurbān idhar dekh
tarsūñ huuñ tirī yak-nigah-e-lutf ko pyāre
itnā bhī to mujh ko na kaḌā maan idhar dekh
āshiq to hazāroñ hī ġharaz guzre haiñ lekin
yuuñ chaak huā kis kā garebān idhar dekh
āñkheñ na churā 'mus.hafī'-e-reḳhta-go se
ik umr se terā hai sanā-ḳhvān idhar dekh