Mushafi Ghulam Hamdani

kidhar jaiye aur kahan baiThiye

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kidhar jā.iye aur kahāñ baiThiye
parichitā nahīñ dil jahāñ baiThiye
maiñ dekhā tumheñ ḳhuub parde meñ ab
zarā aur ho kar nihāñ baiThiye
khaḌe dekhte kyā ho phir aa.iye
karam kījiye mehrbāñ baiThiye
abhī se kahāñ uTh chale koī dam
ġhanīmat hai sohbat miyāñ baiThiye
tire hāthoñ se ai jafā-e-falak
batā tū hī chhup kar kahāñ baiThiye
biThāyā mujhe tum ne zindāñ meñ ḳhuub
maiñ baiThā bas ab dostāñ baiThiye
tum āñkhoñ meñ kyā baiThte ho mirī
ba-pahlū-e-dil misl-e-jāñ baiThiye
nahīñ baiThne kī tumhāre vo jā
idhar aa.iye ab yahāñ baiThiye
na pahuñchoge manzil ko tum 'mus.hafī'
gayā duur ab kārvāñ baiThiye
Top Urdushayar.com