Mushafi Ghulam Hamdani

ya-rab meri us but se mulaqat kahin ho

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
yā-rab mirī us but se mulāqāt kahīñ ho
jis baat ko jī chāhe hai vo baat kahīñ ho
gar qurb-e-suḳhan us se nahīñ duur se ai kaash
nazroñ hī meñ Tuk harf-o-hikāyat kahīñ ho
phirtā hai hasīnoñ se bahut āñkheñ laḌātā
Dartā huuñ na dil masdar-e-āfāt kahīñ ho
hote hue dushman ke kahūñ kyuuñ ke meñ kuchh baat
majlis se tirī daf.a ye bad-zāt kahīñ ho
kāġhaz pe shab o roz tirī khīñchūñ huuñ tasvīr
ya.anī isī sūrat basar-auqāt kahīñ ho
hai aaj kī shab va.ada-e-vasl us kā mire saath
yā-rab ki shitābī se ye din raat kahīñ ho
de Daalo dil-e-'mus.hafī' tum varna mirī jaan
rusvā.ī hai vo tum pe gar isbāt kahīñ ho
Top Urdushayar.com