Mushafi Ghulam Hamdani

chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
chakhī na jis ne kabhī lazzat-e-sinān-e-nigāh
maza de phir use kyā teġh-e-ḳhūñ-chakān-e-nigāh
jis anjuman meñ ki paḌtā na thā gumān-e-nigāh
paḌā hai TuuT dam-e-raqs āsmān-e-nigāh
balā se us se hī roz-e-siyah kā haal kahūñ
ki mīl-e-surma hai is ke mizāj dān-e-nigāh
dhanak se surme kī chilla hai tā ba-gosha-e-chashm
koī hai said jo phir zah huī kamān-e-nigāh
barī hai vājib o mumkin kī qaid se vo husn
na darmiyāna-e-mardum na darmyān-e-nigāh
huā thā mastī kī majlis meñ shab guzar apnā
kiyā nazāra-e-mahviyyat-e-jahān-e-nigāh
vo āsmāñ kī taraf dekhe gar uThā kar aañkh
gire zamīn pe iisā bhī khā sinān-e-nigāh
na taab nūr-e-tajallī kī lā sakā muusā
faroġh-e-husn huā bā.is-e-ziyān-e-nigāh
Top Urdushayar.com