bā.is-e-arz-e-hunar karb-e-nihānī niklā
lafz hī mamba-e-dariyā-e-ma.ānī niklā
sab ke hoñToñ ko chhuā abr-e-ravāñ ne lekin
mere hisse kā na dariyāoñ meñ paanī niklā
kaun hotā hai sharīk-e-safar-e-tanhā.ī
merā saaya hī mirā dushman-e-jānī niklā
zindagī jis ke tasavvur meñ basar kī ham ne
haa.e vo shaḳhs haqīqat meñ kahānī niklā
jis ke siine meñ bhī 'shādāb' utar kar dekhā
taḳhta-e-mashq-e-sitam haa.e girānī niklā