umr-e-pas-māñda kuchh dalīl sī hai
zindagānī bhī ab qalīl sī hai
girya kartā huuñ kyā maiñ nazr-e-husain
āñsuoñ kī jo ik sabīl sī hai
chal dilā vo patañg uḌātā hai
abhī aane meñ us ke Dhiil sī hai
log karte haiñ vasf-e-nūr-jahāñ
maiñ ne dekhā vo zan to fiil sī hai
kis ke mizhgāñ ne ye kiyā jaadū
mere dil meñ gaḌī jo kiil sī hai
tū gar aave shikār-e-māhī ko
chashm-e-tar āñsuoñ se jhiil sī hai
us ko sohbat kā gar dimāġh nahīñ
tab.a apnī bhī kuchh aliil sī hai
dil mirā misr-e-husn hai tab to
nadī āñkhoñ kī rūd-e-nīl sī hai
hai jo ye 'mus.hafī' kī ham-ḳhvāba
hai to achchhī pa kuchh asiil sī hai