Mushafi Ghulam Hamdani

sher kya jis mein nok-jhok na ho

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sher kyā jis meñ nok-jhok na ho
murġh phir kyā laḌe jo nok na ho
kahīñ dekhe hī sāda-rū ḳhuñḳhār
chashma-e-ā.īna meñ jok na ho
vahī kūcha bhulā ki jis meñ kabhū
dandanāloñ kī rok-Tok na ho
naam gardūñ pe jis kā hai parvīñ
neshkar kā ye us ke phok na ho
ranDī-bāzī vo kyā kare phir ḳhaak
paas jis ke kitāb-e-kok na ho
galla bāyad harīs-e-shahvat-rā
ek bakrī se shād-bok na ho
peT kā bhaaḌ hai balā na bhare
ḳhuub tā is meñ jhokā-jhok na ho
husn mutrib hai sun ke gaane kā
pesha le jab gale meñ Dok na ho
kyā phañketī kā vo kare da.avā
'mus.hafī' yaad jis ko rok na ho
Top Urdushayar.com