Mushafi Ghulam Hamdani

phir ye kaisa udheD-bun sa laga

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
phir ye kaisā udheḌ-bun sā lagā
jān-e-ġham-dīda ko jo ghan sā lagā
us galī meñ jo maiñ uThā gaahe
pā-e-ḳhvābīda mujh ko sun sā lagā
us ne jis vaqt aur sar kheñchā
naḳhl-e-qad us kā sarv-bun sā lagā
us ke chhalle ke haiñ jo gul khaa.e
daaġh har ik badan pe hun sā lagā
āḳhir-e-umr apnī nazroñ meñ
jāma-e-zindagī kuhan sā lagā
kashtī-e-chashm-e-tar khiñchī hai udhar
hai jidhar tār-e-ashk gun sā lagā
yār-e-dharmātmā kā pyaar ke saath
bosa denā bhī mujh ko pun sā lagā
jab dil-soḳhta pe zaḳhm-e-mizha
nazar aayā vo saaf pun sā lagā
maiñ sunā 'mus.hafī' ko piirī meñ
mujh ko ḳhele vo ḳhush-suḳhan sā lagā
Top Urdushayar.com