chashm ne kī gauhar-afshānī sarīh
ho ga.ī ye ham se nādānī sarīh
muñh chhupā qātil ki terī hī taraf
tak rahī hai chashm-e-qurbānī sarīh
karbalā-e-ishq meñ ushshāq kī
teġh o ḳhanjar par hai mehmānī sarīh
ā.īne meñ bhī nahīñ paḌtā hai aks
hai tirī tasvīr lā-sānī sarīh
zhāla-sāñ kyūñ-kar ghule jāveñ na ham
hai jo aañsū meñ pareshānī sarīh
kyūñki istiqlāl kā dam māreñ ham
ustuḳhāñ apne to haiñ paanī sarīh
mazra-e-dil kis tarah sarsabz ho
barq yaañ kartī hai jaulānī sarīh
māh-e-nau hai kis ke dar kā sajda-pāsh
ruk ga.ī hai us kī peshānī sarīh
'mus.hafī' dam toḌe hai martā nahīñ
kar rahā hai ye girāñ-jānī sarīh