banāyā ek kāfir ke ta.iiñ us dam maiñ do kāfir
mire muñh se jo niklā nā-gahāñ o kāfir o kāfir
musalmāñ dekh kar us but kī sūrat ko ye kahtā hai
musalmānī kahāñ kii? bāñdh le zunnār, ho kāfir
tujhe parvā nahīñ hargiz kisī kī tū hai be-parvā
tire is husn-e-kāfir par parī ho jaa.e go kāfir
shab-e-hijrāñ meñ jo dil dam-ba-dam fariyād kartā hai
ḳhafā ho kar kahūñ maiñ koī saa.at tū to so kāfir
kahāñ tak ai dil-e-shorīda tū aañsū bahāvegā
shab aa.ī sub.h hone par bas itnā bhī na ro kāfir
ham apnā dīn-o-īmāñ pahle us ko nazr karte haiñ
hamāre sāmne is shakl se aatā hai jo kāfir
tirī bātoñ se to ai 'mus.hafī' jī apnā tañg aayā
ḳhudā ke vāste chup rah na merī jaan kho kāfir