ne but hai na sajda hai ne baada na mastī hai
yaañ sher-parastī hai yā husn-parastī hai
saa.id se tire sho.ale yuuñ husn ke uThte haiñ
hāthoñ meñ tire goyā mahtābī-e-dastī hai
bīmārī-e-sil se kam samjho na ġham-e-ulfat
ye sil mire siine se ab koī akastī hai
māmūra-e-dil apnā vīrān rahā barsoñ
vo kaun sī bastī hai kyā jaane jo bastī hai
missī kī dhaḌī us kī nazroñ se jo hai ġhā.eb
yā-rab vo siyah badlī kīdhar ko barastī hai
bulbul ko qafas se kab sayyād tū chhoḌegā
nazzāra-e-gul ko ye har saal tarastī hai
sar de ke bhī haath aave gar teġh-e-ḳham-e-abrū
ai 'mus.hafī' ham to bhī samjheñ haiñ ki sastī hai