kyuuñ ki kahiye ki adā-bandī hai
shā.erī kyā hai havā-bandī hai
ḳham-e-gesū ko chhuā thā kis ke
shab se gulshan meñ sabā-bandī hai
kyūñki ham ḳhuun na ro.eñ shab-e-īd
yaar mashġhūl-e-hinā-bandī hai
dar pe baiThe haiñ tire be-zanjīr
ye ajab tarah kī pābandī hai
nahīñ paḌhtā mirā nusḳha attār
bas-ki masrūf-e-davā-bandī hai
shoḳh mazmūñ se hazar karte haiñ
sher meñ jin ke hayā-bandī hai
muzhda ai hasrat-e-nazzāra ki vaañ
gird chilman ke ridā-bandī hai
har nafas taaza ġhazal kahte haiñ
har nafas taaza navā-bandī hai
'mus.hafī' sher meñ to yaad hameñ
zor-sūrat kī adā-bandī hai