Mushafi Ghulam Hamdani

raat ke rahne ka na Dar kijiye

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
raat ke rahne kā na Dar kījiye
ek to shab yaañ bhī sahar kījiye
log kaheñge tumheñ harjā.ī hai
dil meñ ik aalam ke na ghar kījiye
dekhte ho merī taraf kyā miyāñ
apnī bhī sūrat pe nazar kījiye
aa hī liyā be-ḳhabarī ne hameñ
kaun hai yaañ kis ko ḳhabar kījiye
ġhair ko jā dete ho ghar meñ agar
mere ta.iiñ shahr-badar kījiye
dekh nigāheñ tirī kahtī hai ḳhalq
aisī nigāhoñ se hazar kījiye
phir nahīñ milnā tirā mushkil miyāñ
jaañ kā gar apnī zarar kījiye
manzil-e-hastī meñ bahut ham rahe
'mus.hafī' ab yaañ se safar kījiye
Top Urdushayar.com