Aqeel Shadab

barae-nam sahi koi mehrban to hai

Aqeel Shadab

barā.e-nām sahī koī mehrbān to hai
hamāre sar pe bhī hone ko āsmān to hai
tirī farāḳh-dilī ko duā.eñ detā huuñ
mire laboñ pe tire lams kā nishān to hai
ye aur baat ki vo ab yahāñ nahīñ rahtā
magar ye us kā basāyā huā makān to hai
siroñ pe sāya-fagan abr-e-ārzū na sahī
hamāre paas sarāboñ kā sā.ebān to hai
alāva us ke na kuchh aur parda rakh mujh se
fasīl-e-jism mire tere darmiyān to hai
bichhaḌ ke zinda nahīñ rah sakeñge ham donoñ
mujhe ye vahm to hai un ko ye gumān to hai
bhalī-burī sahī maujoñ meñ apnī naav to hai
kaTā-phaTā sahī kahne ko bādbān to hai
gul-e-murād nahīñ sañg-hā-e-tifl sahī
ġharīb-e-shahr kā āḳhir kisī ko dhyān to hai
Top Urdushayar.com