Mushafi Ghulam Hamdani

paTre dhare hain sar par dariya ke paT wale

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
paTre dhare haiñ sar par dariyā ke paaT vaale
aate haiñ kis adā se is muñh pe ghaaT vaale
chaskā paḌā hai jab se shīrīñ-laboñ kā us ke
kaise lage raheñ haiñ bose kī chaaT vaale
dariyā pe tū nahāne jaayā na kar ki nādāñ
vaañ ghaat meñ haiñ terī ka.ī dhobī paaT vaale
kūche meñ tere zālim az-bahr-e-dād-ḳhvāhī
ye zulm hai to lākhoñ āveñge ghaaT vaale
bāzār-e-misr meñ vo jin jin ko chhil gayā hai
ik soch meñ haiñ baiThe ab tak vo haaT vaale
dekhe na koī un ko bā-dīda-e-haqārat
ḳhazposhoñ par girāñ haiñ albatta TaaT vaale
maiñ ne raqīb ko kal bātoñ meñ ḳhuub kaaTā
chūkeñ haiñ 'mus.hafī' kab haiñ vo jo kaaT vaale
Top Urdushayar.com