Mushafi Ghulam Hamdani

kya khinche hai KHud ko dur allah

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kyā khīñche hai ḳhud ko duur allāh
allāh-re tirā ġhurūr allāh
husn aisā kahāñ hai mahr-o-mah meñ
kuchh aur hī hai ye nuur allāh
ham ne to ba-chashm-e-ḳhvesh dekhā
har shai meñ tirā zuhūr allāh
ham haiñ tire bande mere sāhib
go shaiḳh ko deve huur allāh
pahlū se mire nikal gayā but
kyā mujh se huā qusūr allāh
jis dam meñ karūñ huuñ naala dil se
uThtā hai kitnā shor allāh
ai 'mus.hafī' haq nahīñ samajhtā
kitnā huuñ maiñ be-shu.ūr allāh
Top Urdushayar.com