Mushafi Ghulam Hamdani

suKHan mein kaamrani kar raha hun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
suḳhan meñ kāmrānī kar rahā huuñ
za.īfī meñ javānī kar rahā huuñ
ġhurūr-e-naqsh-e-avval pesh kyā jaa.e
maiñ kār-e-naqsh-e-sānī kar rahā huuñ
na samjhegā koī mujh ko payambar
abas dāvā-e-sānī kar rahā huuñ
ajal tū hī subuk kar mujh ko aa kar
diloñ par maiñ girānī kar rahā huuñ
dil-e-ma.ashūq patthar hai to hove
maiñ is ko paanī paanī kar rahā huuñ
tasavvur hai kahāñ mujh paas terā
maiñ ḳhud bāteñ zabānī kar rahā huuñ
nahīñ paas us ke baiThā be-sabab maiñ
guloñ kī pāsbānī kar rahā huuñ
kabhī tū bhī to mere ḳhvāb meñ aa
maiñ terī yaad jaanī kar rahā huuñ
farishte kā guzar us tak nahīñ hai
maiñ aaphī bad-gumānī kar rahā huuñ
nahīñ ai 'mus.hafī' fahmīda koī
abas jādū-bayānī kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com