Mushafi Ghulam Hamdani

shab shauq le gaya tha hamein uske ghar talak

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

shab shauq le gayā thā hameñ us ke ghar talak

par ġhash aa gayā vohīñ pahuñche jo dar talak

gar ham ko lag ga.ī haiñ kabhī hichkiyāñ to ham

aaTh aaTh aañsū ro.e haiñ do do pahar talak

Dartā huuñ maiñ ye gum na kare aap ko kahīñ

phir ja.ad ko huī hai rasā.ī kamar talak

parvāna kyā uḌe hai charāġhāñ meñ to nahīñ

pahuñchā jo koī sho.ala tire bāl-o-par talak

sahrā-e-kushtagāñ meñ tire kal gayā thā maiñ

dekhūñ to lāla-zār hai hadd-e-nazar talak

phailāv bahr-e-ashk apne maiñ kyā kahūñ

pahuñchī hai mauj gar ye mirī bahr-o-bar talak

ve din kidhar ga.e ki maiñ likh likh ke ḳhat-e-shauq

jaatā thā aap girya-kunāñ nāma-bar talak

shab us bazm meñ jo ga.e ham to 'mus.hafī'

aise jame ki vaañ se na uTThe sahar talak

Top Urdushayar.com