Mushafi Ghulam Hamdani

kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kis raah gayā lailā kā mahmil nahīñ ma.alūm
hai bādiya reg aur hameñ manzil nahīñ ma.alūm
maiñ hashr ke din da.avā ḳhuuñ kis se karūñgā
vo kushta huuñ jis kushta kā qātil nahīñ ma.alūm
nikleñ haiñ mire dil ke taḌapne meñ adā.eñ
hai kis kī nigāhoñ kā ye bismil nahīñ ma.alūm
thā rū-e-dil-e-ḳhasta to shab merī taraf ko
kab ho gayā mizhgāñ ke muqābil nahīñ ma.alūm
vo bahr hai dariyā-e-sarishk apnā ki jis kā
pahnā hī nazar aave hai sāhil nahīñ ma.alūm
mar jā.ūñ ki jiitā rahūñ maiñ hijr meñ tere
kis chiiz kā ḳhvāhāñ hai mirā dil nahīñ ma.alūm
āñkhoñ se guzārā hai jo yuuñ laḳht jigar kā
aate haiñ chale kis ke ye ghā.el nahīñ ma.alūm
kyā jāniye kyā us meñ tirī āñkhoñ ne dekhā
kyuuñ ho ga.iiñ ā.īne kī maa.il nahīñ ma.alūm
ai 'mus.hafī' afsos ki is hastī pe ham ko
tahsīl-e-vafādārī kā hāsil nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com