lekhe kī yaañ bahī na zar-o-māl kī kitāb
hai apne haq meñ vā-shud-e-dil faal kī kitāb
bulbul kā zer-e-bāl na bejā samajh tū hai
us ke mutāle.e meñ par-o-bāl kī kitāb
mazkūr zulf hai mire dīvāñ meñ sar-ba-sar
har saf.ha us kā kyuuñ na bane jaal kī kitāb
fursat milī to ḳhāma-e-bāl-e-tadarv se
āshiq tire likheñge tirī chaal kī kitāb
juz yasfikuddimā.a kī aaya na vo paḌhe
qur.āñ ho garche us but-e-qattāl kī kitāb
shakl-e-urūs chhaT na ḳhush aave mujhe kabhī
rakh deñ jo mere sāmne ashkāl kī kitāb
dekhe jo ġhaur se koī dīvāñ mire to haañ
har bait hai zamāne ke ahvāl kī kitāb
sharm-e-gunah se aab huā garche maiñ vale
dhoī ga.ī na nāma-e-a.amāl kī kitāb
paayā na sa.ad-o-nahs se koī varaq tahī
tāroñ kī maiñ ne ḳhuub jo ġhirbāl kī kitāb
kis tarah roz-e-hashr vo hoveñge sruḳh-rū
dekhā kiye haiñ yaañ jo ḳhat-o-ḳhāl kī kitāb
is dahr meñ bulandī-e-az.hān-e-kund se
maiñ garche jāntā thā inheñ faal kī kitāb
har jild 'mus.hafī' tire dīvān kī vale
nuqtoñ se shak ke ban ga.ī rummāl kī kitāb