vo qāfila jo rah-e-shā.erī meñ kam utrā
nasīb se mire ghar kārvān-e-ġham utrā
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai ye qissa-e-kotāh
jahāñ pe but na gire kab vahāñ haram utrā
safed ho ga.e jab shahr ke tamām sutūñ
har ek burj har ik taaq meñ sanam utrā
kashāñ kashāñ jo sitāroñ kī samt niklā thā
phirā to apnī zamīñ par ba-chashm-e-nam utrā
dayār-e-ishq kī tīra-nasībiyāñ 'sālim'
ki āsmāñ to gire ḳhuub abr kam utrā