havas kā rañg chaḌhā us pe aur utar bhī gayā
vo ḳhud hī jam.a huā aur ḳhud bikhar bhī gayā
thī zindagī mirī rāhoñ ke pech-o-ḳham kī asiir
magar maiñ raat ke hamrāh apne ghar bhī gayā
maiñ dushmanoñ meñ bhī ghir kar niDar rahā lekin
ḳhud apne jazba-e-haivāniyat se Dar bhī gayā
mire lahū kī talab ne mujhe tabāh kiyā
havas meñ sañg kī hāthoñ se mere sar bhī gayā
hai lafz-o-ma.anī kā rishta zavāl-āmāda
ḳhayāl paidā huā bhī na thā ki mar bhī gayā
sila ye manzil-e-maqsūd kā milā 'shādāb'
safar tamām huā aur ham-safar bhī gayā