dil ko ye iztirār kaisā hai
dekhiyo be-qarār kaisā hai
ek bosa bhī de nahīñ saktā
mujh ko pyāre tū yaar kaisā hai
kushta-e-teġh-e-nāz kyā jaane
ḳhanjar-e-ābdār kaisā hai
har ghaḌī gāliyāñ hī dete ho
jaan merī ye pyaar kaisā hai
mai nahīñ pī to kyuuñ chhupāte ho
añkhḌiyoñ meñ ḳhumār kaisā hai
aur to haiñ hī ye to kah baare
'mus.hafī' dost-dār kaisā hai