Mushafi Ghulam Hamdani

yar hain chin-bar-jabin sab mehrban koi nahin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
yaar haiñ chīñ-bar-jabīñ sab mehrbāñ koī nahīñ
ham se hañs kar bolne vaalā yahāñ koī nahīñ
qismat ik shab le ga.ī mujh ko jo bāġh-e-vasl meñ
dekhtā kyā huuñ ki us kā bāġhbāñ koī nahīñ
barq-e-gulshan meñ paḌī kis ke tabassum se sabā
jo na jhulsā hove aisā āshiyāñ koī nahīñ
vaa.e nākāmī ki fariyādī haiñ ham us shahr meñ
juz-ḳhamoshī dād-ras apnā jahāñ koī nahīñ
sub.h hote ḳhvāb-e-ġhaflat se jo chauñke ham to haa.e
aañkh ke khulte hī dekhā kārvāñ koī nahīñ
ai dil-e-be-jur.at itnī bhī na kar be-jur.atī
juz sabā us gul kā is dam pāsbāñ koī nahīñ
do ghaḌī mil baiTheñ ham tum ek dam jo chain se
haa.e zer-e-āsmāñ aisā makāñ koī nahīñ
maiñ jo pūchhūñ huuñ tire ghar meñ bhī aatā hai koī
yuuñ kahe hai pher kar muñh meñ zabāñ koī nahīñ
muñh uThā.e jaate haiñ yuuñ dasht-e-ġhurbat meñ chale
nā-balad haiñ sab hī ham meñ rāh-dāñ koī nahīñ
''Thahriyo Tuk Thahriyo'' kī aa.e hai āvāz sī
dekhiyo pīchhe to aaj ai ham-rahāñ koī nahīñ
ḳhvāb-gah se kyā uḌā kar le ga.ī us ko sabā
aur sab zevar hai us kā itr-dāñ koī nahīñ
'mus.hafī' kyā ḳhaak ham sher-o-suḳhan par jī lagā.eñ
shā.erī ye kuchh hai lekin qadr-dāñ koī nahīñ
Top Urdushayar.com