Mushafi Ghulam Hamdani

kah gaya kuchh to zer-e-lab koi

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kah gayā kuchh to zer-e-lab koī
jaan detā hai be-sabab koī
jaave qāsid udhar to ye kahiyo
raah taktā hai roz o shab koī
go ki āñkhoñ meñ apnī aave jaan
muñh dikhātā hai ham ko kab koī
ban gayā huuñ maiñ sūrat-e-dīvār
sāmne aa gayā hai jab koī
garche ham saa.e us parī ke rahe
na milā jhāñkne kā Dhab koī
had ḳhush aayā ye sher-e-'mīr' mujhe
kar ke laayā thā muntaḳhab koī
ab ḳhudā maġhfirat kare us kī
'mīr' marhūm thā ajab koī
ai falak us ko tū ġhanīmat jaan
'mus.hafī' sā nahīñ hai ab koī
Top Urdushayar.com