jab ki be-parda tū huā hogā
maah parde se tak rahā hogā
kuchh hai surḳhī sī aaj palkoñ par
qatra-e-ḳhūñ koī bahā hogā
mere naame se ḳhuuñ Tapaktā thā
dekh kar us ne kyā kahā hogā
ghūrtā hai mujhe vo dil kī mire
merī nazroñ se pā gayā hogā
yahī rahtā hai ab to dhyān mujhe
vaañ se qāsid mirā chalā hogā
jis ghaḌī tujh ko kunj-e-ḳhalvat meñ
pā ke tanhā vo aa gayā hogā
'mus.hafī' us ghaḌī maiñ hairāñ huuñ
tujh se kyūñkar rahā gayā hogā