Mushafi Ghulam Hamdani

dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dil ḳhush na huā zulf-e-pareshāñ se nikal kar
pachhtā.e ham is shām-e-ġharībāñ se nikal kar
ye us se ziyāñ-kār to vo is se bad aa.eñ
jā.ūñ maiñ kahāñ gabr o musalmāñ se nikal kar
ustād koī zor milā qais ko shāyad
lī raah jo jañgal kī dabistāñ se nikal kar
ma.alūm nahīñ mujh ko ki jāvegā kidhar ko
yuuñ siina tirā chāk-e-garebāñ se nikal kar
guzrā rag-e-gardan se ki juuñ sham.a sar apnā
talvār hī khātā hai garebāñ se nikal kar
nā-zorī meñ aayā na kabhū tā-sar-mizhgāñ
yak qatra-e-ḳhūñ bhī bun-e-mizhgāñ se nikal kar
tīroñ meñ kamāñ-dār mirā gher le jis ko
vo jaane na paave kabhī maidāñ se nikal kar
ham aap fanā ho ga.e ai hasti-e-mauhūm
juuñ mauj-e-tabassum lab-e-jānāñ se nikal kar
sūrat ke tirī sāmne rah jaa.e hai kaise
har but kī nigah dīda-e-hairāñ se nikal kar
us dast-e-hinā.ī meñ rahā ā.īna akasr
dariyā na gayā panja-e-marjāñ se nikal kar
ab paḌh vo ġhazal 'mus.hafī' tū shusta o rafta
sunñe jise ḳhalq aa.e safāhāñ se nikal kar
Top Urdushayar.com