Mushafi Ghulam Hamdani

aaj KHun ho ke Tapak paDne ke nazdik hai dil

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
aaj ḳhuuñ ho ke Tapak paḌne ke nazdīk hai dil
nok-e-nashtar ho to haañ qābil-e-tahrīk hai dil
ai falak tujh ko qasam hai mirī is ko na bujhā
ki ġharīboñ ko charāġh-e-shab-e-tārīk hai dil
varam-e-dāġh ka.ī sāmne rakh kar us ke
ishq bolā ''ye uThā le tirī tamlīk hai dil''
mujh ko hairat hai ki kī umr basar us ne kahāñ
is jahālat pe to ne turk na tājīk hai dil
kamar-e-yār ke mazkūr ko jaane de miyāñ
tū qadam is meñ na rakh raah ye bārīk hai dil
jāma-e-dāġh ko malbūs kar apnā din raat
kyūñki ye jaama tire qad pe nipaT Thiik hai dil
'mus.hafī' ik to maiñ huuñ dast-ḳhush-dīda-e-shoḳh
tis pe din raat mire darpai-e-taz.hīk hai dil
Top Urdushayar.com