Mushafi Ghulam Hamdani

usne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
us ne kar vasma jo funduq pe jamā.ī mehñdī
kyā hī dilchasp mujhe vo nazar aa.ī mehñdī
na rahā ek bhī chor us ke kahīñ hāthoñ meñ
aisī chaturā.ī se kāfir ne lagā.ī mehñdī
baiThe baiThe jo mizāj aa gayā rañgīnī par
gūñdh kar laale kī patī meñ milā.ī mehñdī
is nafāsat kā maiñ kushta huuñ ki ik to us ne
bañgle pānoñ se hāthoñ meñ bañdhā.ī mehñdī
tis pe kam-baḳht kī ye dūsrī saghḌā.ī dekh
bāñdh rumāloñ se bame kī bachā.ī mehñdī
aur hushyārī ye sun sote se jo chauñk paḌā
khol phurtī se vahīñ jald chhuḌā.ī mehñdī
ba.ad-azāñ taaq se ik chhoTe se shīshe ko utaar
itr meñ hāthoñ se mal mal ke basā.ī mehñdī
'mus.hafī' kyuuñ na duā deve ki us ko tū ne
ik ġhazal aur bhī rañgīn likhā.ī mehñdī
Top Urdushayar.com